Ham apne millat ki khususi aur insaaniyat ki umoomi taur pe- khidmat kasie karsakte hain

By Hasan Arshad, KFUPM, Saudi Arabia

Click to Visit Dar-us-Salam Publications

Millat wa insaaniyat ki khidmat ki baat karne se pahle hame ye sochna hoga ke hamaari millat ko kis shobe me sab se ziyda khidmat ki zaroorat hai aur umoomi taur par lai(n)to insaaniyat kahan kahan majrooh ho rahi hai..Aaj ke is daur me jahan har taraf zulmo ziyadti,jinsee anarchy,insaan ki zehni parishaani jaise maamlaat se ham do chaar ho rahe hain-ham agar eemaandaari se sochai(N) ke sab se badi kami kiya hai to ham is nateeje pe pahuchte hain ke insaan ko sab kuchh mil raha hai sirf roohaani gheza ke-goya ke ham agar apne millat ki is beemari ko door karne ki koshish karain to shaayed millat ke liye sab badi khidmat hogi. 

Kisee qaum ka uroojo zawaal uske naujawaano se hota hai-agar ham naujawaano ke tarze hayaat pe nazar daalai(n) to maayoos hona padta hai. unke khyaalat, atwaar, ifkaar kisee me bhee islaam ki jhalak tak nahi miltee. Aisee haalat me akbar ilaahabadi ka sher jo ke kaafi talkh hai yaad aata hai.

Uoo(N) qatl se bach-chon ke woh badnaam na hota
Afsos ke firaun ko college ki na soojhee

Bila ta-assub agar ham apni haalat pe ghaur karai(n) to ham is nateeje pe pahunchte hain ke yahaa(n) hamaara qatl hi ho raha hai.ham-me se koi karl marx se muta-assir hai to koi lenin to koi ghandhi ke tarze hayaat se.hame kisee ne bataya hi nahi ke quran ka ma-aashiyat ke baare me kiya qaul hai.ye saari cheezain nezaam-e- taleem me tawaazun na hone ke sabab hai.hame hamaare collego(n) me iskee taaleem nahi mil rahi hai ke hame qumo-millat kee khidmat aksie karnee hai aur ham pe insaaniyat ke kiya kiya huqooq hain. 

Hame us yaumiddeen ki yaad dihaani nahi kar waayi jaati hai jiske beghair nek aur saaleh ma-aashre ka tasauur bhee mumkin nahi-Is baatil nezaame taaleem ko badalne ki zaroorat hai. Jis tarah ghair qaumo(N) ne apne mission ke school khol rakhe hain isee tarah hame bhee apne islamic mission ke schoolo(N) ki kasrat se buniyaad daalni chaahiye. Aaj baatil taaqtai(N) ham se hamaara qalam chheen lena chaahtee hai(N), yehi wajah hai ke inki nigaahai(n) kabhee daarul uloom nadwa to kabhee aligarh muslim university pe padti hai(N)..kisee qaum ka urooj-o-zawaal uske meyaar-e- taaleem se munsalik hota hai. Jis shiddat se ye log hame ilm-o- hunar ki ziya se door rakhna chaahte hain usse kaheen ziyda tarap ke saath hame apne aap ko aur aane waali nasl ko muzaiyyan karne ki fikr ki zaroorat hai. Hame aise idaaro(N) kee zaroorat hai jo ke daur-e- haazir ke asri taqaazo(N) ko poora karti ho(N) aur uske faaregheen biraadre watan ke saath ilm-o- kamaal me muqaabla kar sakai(N) aur Iske saath saath jahan taareekh padhaaee jaati ho wahan islaami tareekh ka bhee ek baab hona lazmi hai.jaha(n) ghairo(N) ka falsafa padhaya jaae wahan islami falsafa bhee hona chaahiye.

Aur hamaamre ustaad aise ho(N) ke agar darwin,lenin,marx ko padhaarahe ho(N) to is yaqeen ke saath padhaa-ain ke yahi log hai jinke liye quran me "ghairil maghzoobe – wa lazzaleen" aaya hai, yaani ye log raaste se bhatke hue hain aur inpar allah ka ghazab hone waala hai.

Unhai(N) huqooqul ebaad ki bhee taaleem deni chaahiye.hamaare bach-cho(N) ko ye bhee batana chaahiye ke unpar insaano ke kiya kiya huqooq hain aur unhai(N) biraadare watan ke saath kasia maamla rakhna hai.Unhai baar baar jahannam ke aag se khauf dilaate rahna hoga aur
agar hamaare bach-cho(N) ko ye bataaya jaae ke jis tarah suwar ka ghost khana haraam hai waise hi rishwat lena bhee haraam hai to ye kabhee aage chalkar maadere watan ko lootne ka kaam nahi karenge.insaano ko wahee pahchaan sakta hai to insaaono ke banane waala ko pahchaanta ho.
Aaj science bahut tarqqee kar chuka hai, badee badee mashine wajood me aarahi hai(N) jisme bade bade aalaat ban rahe hai(N).Aisee koi technology nahi hai jahan achhe insaan bante ho(N).Agar ham aisee koi technology eejaad karai(N) jisse achhe insaan bante ho(N) to ye meree samajh se hamaare qaum,watan,aur insaaniyat sab ke liye badi khidmat hogi aur hame iskle liye koshish karnee hogi 

Mataa-e- lauho qalam chhin gayee to kiya gham hai
Ke khoon-e dil me dubolee hai(N) ungliyaa(N) maine

[Home | About | Objectives | Articles | Matrimonial | Vacancies | Forum | Events | Projects | Bihar | Moderator | Patrons | Institutions | Links]